Lyrics
Raat ka nasha abhi aankh se gaya nahin
Raat ka nasha abhi aankh se gaya nahin
Tera nashila badan bahon ne chhoda nahin
Ankhein to kholi magar sapna woh toda nahin
Haan, wahin, woh wahin
Sanson pe rakha hua tere hothon ka sapna abhi hai wahin
O, raat ka nasha abhi aankh se gaya nahin
Raat ka nasha abhi aankh se gaya nahin
Tere bina bhi kabhi tujhse machal leti hoon
Karavat badalati hoon to sapna badal leti hoon
Tere bina bhi kabhi tujhse machal leti hoon
Karavat badalati hoon to sapna badal leti hoon
Tera khayal aaye to balkhaake pal jaata hai
Pani ki chadar tale dam mera jal jaata hai
Haan, wahin, woh wahin
Sanson pe rakha hua tere hothon ka sapna abhi hai wahin
O, raat ka nasha abhi aankh se gaya nahin
Raat ka nasha abhi aankh se gaya nahin
Tere gale milne ke mausam bade hote hain
Janmon ka waada koi, yeh gham bade chhote hain
Ho, tere gale milne ke mausam bade hote hain
Janmon ka waada koi, yeh gham bade chhote hain
Lambi si ek raat ho, lamba sa ek din mile
Bas itna sa jeena ho, milan ki ghadi jab mile
Haan, wahin, bas wahin
Sanson pe rakha hua tere hothon ka sapna abhi hai wahin
O, raat ka nasha abhi aankh se gaya nahin
Raat ka nasha abhi aankh se gaya nahin
Written by: Anu Malik, Gulzar