Lyrics

Zikr is pari vash kaa or fir bayaan apna
Bin gaya raqeeb aakhir jo tha raazadaan apna
Manzar ik bulandi par or hum bina sakte
Arsh se idhar hota kash ki makaan apna
De wo jis kadar zalat hum hansi main taalen ge
Baare aashna niklaa in kaa paasabaan apna
Dard dil likhun kab tak? jaun? in ko dikhalaayuun
Ungaliyaan figaar apni, khama koon chikaan apna?
Hum kahaan ke dana the? kis hunar main yuktaa the?
Be sabab hawa, gaalibؔ, dushman aasaman apna
Jor se baaz aaye par baaz aain kiya
Kehate hain, "hum tujh ko munh dikhalaayen kiya"
Raat din gardish main hain saat aasaman
Ho rahe gaa kuch na kuch, ghabaraaen kiya
Log ho to is ko hum samajhen lagaon
Jab na ho kuch bhi to dhoka khaaen kiya
Ho liye kyon naamaa baar ke saath saath?
Yaa rab, apne khat ko hum pahunchaayen kiya?
Puuchhate hain wo ki, "gaalibؔ kaun hai?"
Koi batalaao ki hum batalaayein kiya
Written by: Zia Mohyeddin
instagramSharePathic_arrow_out