Featured In

Credits

AUSFÜHRENDE KÜNSTLER:INNEN
Umar.
Umar.
Begleitgesang
KOMPOSITION UND LIEDTEXT
Umar.
Umar.
Songwriter:in
PRODUKTION UND TECHNIK
Umar.
Umar.
Produzent:in

Lyrics

Kabhi teri yaad me tha me
Or ab teri baat bhi nahi
Jalay sab hi rakh ho gaye
Bache jazbaat hi nahi
Koi karamat bhi nahi
Koi dawa mujy raas bhi nahi
Meri saza mene kaat li par
Bachay ehsas hi nahi
Gamzan safar pe kuch musafiron ko toli he
Gir rahe hen daam, meri lag rhi jo boli he
Junoon me jana ny kheli khoon ki jo holi thi
Sukoon mera loot lia pyaar sy jo boli thi
Kitabon pe he dhool char gayi
Meri yaad teri bhool ban gayi
Baatain sab fuzool ban gayi
Kaisi ghair ka wo phool ban gayi
Me bayaban tha ujar gaya
Khawab tha bikhar gaya
Saans tha ukhar gaya
Jo pyaar tha wo mar gaya
Khumaar tha utar gaya
Yaar tha bichar gaya
Saal tha guzar gaya
Khayal tha badal gaya
Bekaar tha sanwar gaya
Aag sy guzar gaya
Dhoob raha, tar gaya
Jo nasha tha utar gaya
Ghubaar tha nikal gaya
Phool hi tha jhar gaya
Tujy khoya dar gaya
Me soya tha or mar gaya
Abhi mene kaha hi kahan he
Mera dard tune saha hi kahan he
Mene gila abhi kia hi kahan he
Ky tune pyaar mujhay dia hi kahan he
Ja azad he tu aj sy
Han meri har kitab sy
Kahani ho yan baab sy
Besabab yan asbab sy
Dil ky is makaan sy
Khayal or dimag sy
Har hazam or ashaar sy
He qasam is zaban sy
Me dar raha
Yan me mar raha
Ye tu de bata
Ye tu de bata
Me dar raha
Yan me mar raha
Ye tu de bata
Lamho ki qaid me
Main sehmaa dar ky yaadon se
Giraft kali raat ki
Me baitha khud ky samnay
Sawal pe sawal khud sy
Hun lajawab chup me
Ghut gya hun sun para hun
Dhun ko sun ky roo rha hun
Khawab sare toote phoote
Dhagon me peroo raha hun
Kashtiyan jala ky sari
Pani me utar rha
Me dar rha hun
Me dar rha hun
Ik se mohabbat mujh ko
Or dusray ko mujh se
Is kashmakash me mubtala hun
Kaise bante rishtay
Jis sy bhi puchun kehta
Asmaan ky hen ye qissay
Hum bs kathputliyan
Jo door me bandhi hen qas ky
Dasbardar hona chahta hun me zindagi se
Zimedariyan jo hatne nahi deti peeche
Khoon me lipat chuka jism ka har zara zara
Dil me hota dard kis ko btaoun me jake
Kay thak gaya hun khud se me
Kay dar rha hun sab se me
Kay sanso me bhi he chubhan
Kay lafz bhi ab khatam se hen
Ab bas he rakh baki
Khakh baki
Yaaad baki
Ab bas he teri uss furqat ki jana ass baki
Shab-e-ghum
Aur jaam pe jaam jo toote
Deedar-e-yaar ki aas me meri sans toote
Naqab posh par un ankho ki kiya baat karu
Un ankho me jaisay dunia kay sara aab doobay
Duniya na sara aab doobay
Duniya ka sara aab doobay
Un aankhon me jaise duniya ka sara aab doobay
Kabhi teri yaad me tha me
Or ab teri baat bhi nahi
Jalay sab hi rakh ho gaye
Bache jazbaat hi nahi
Koi karamat bhi nahi
Koi dawa mujy raas bhi nahi
Meri saza mene kaat li par
Written by: Umar Rajput
instagramSharePathic_arrow_out