Credits
AUSFÜHRENDE KÜNSTLER:INNEN
Umar.
Begleitgesang
KOMPOSITION UND LIEDTEXT
Umar.
Songwriter:in
PRODUKTION UND TECHNIK
Umar.
Produzent:in
Lyrics
Suna'ne aya hun me kuch ashaar
Zara baiht jaiye ap ny hee kehna, irshad
Kuch alfaz kiye bewafa ky naam
Mozu-e-mushaira he hum, or ap
Me toote kaanch sa bikhar gaya hun
Or tu ainay me khud ko sawarti he roz
Me teri ankh me chamak raha tha
Ab wo ankh kisi or pe tu dalti he roz
Me teri baat ab bhi kar raha hun
Tu naam mera sun'se sy bhagti he door
Mene tujhay itna pyaar de dia
Ky ab wo pyaar kisi or sy tu bant'ti he roz
Dil pe kharosh esi daal gayi he tu
Mere khawabo ki hasti ujaar gayi he tu
Mujhay ishq ka matlab bata gayi he tu
Mujhay zindagi ky mayni seekha gayi he tu
Na jane mere dil me kiun tu hi tu basta he
Na jane kiun dikhta bas mujh ko ek hi rasta he
Nazar na mila paye tu meri aankhon sy
Na jane kis baat ka han tujh ko dar lagta he
Kabhi mujy lagta ky kaun hun me
Phir kabhi kabhi lagta ky jaun hun me
Kabhi tera yaar tera pyaar tha jo
Badzan is jahan sy wo rooh hun me
Besukoon ye wajood tha sujood me gira
Na qabool tere baad me khud ko kiya
Na hi bhool ky bhi dekha tere chehray ki aur
Tere bad abhi tak
Me na khud sy mila
Mera khud sy gila
Meri khud sy larai
Kismat ka likha
Phir kaise duhai
Tere ghar sy sanam
Teri doli uthi
Mana sog idhar
Mere ghar tu na ayi
Yahan bs ruswai yahan mataam he
Bebasi ka yahan tahna alam he
Ankhy sooji or hathon pe kalakh he
Ye lahu mera teri amanat hai
Na jane mere dil me kiun tu hi tu basta he
Na jane kiun dikhta bas mujh ko ek hi rasta he
Nazar na mila paye tu meri aankho sy
Na jane kis baat ka han tujh ko dar lagta he
Written by: Umar Rajput