Featured In

Credits

AUSFÜHRENDE KÜNSTLER:INNEN
Geeta Dutt
Geeta Dutt
Leadgesang
Kishore Kumar
Kishore Kumar
Leadgesang
Avinash Vyas
Avinash Vyas
Künstler:in
Raja Mehdi Ali Khan
Raja Mehdi Ali Khan
Künstler:in
KOMPOSITION UND LIEDTEXT
Avinash Vyas
Avinash Vyas
Komponist:in
Raja Mehdi Ali Khan
Raja Mehdi Ali Khan
Songwriter:in
PRODUKTION UND TECHNIK
Mystic Media and More LLP
Mystic Media and More LLP
Produzent:in

Lyrics

Kamaata hoon bahut kuch par
Kamaai doob jaati hai
Kamaata hoon bahut kuch par
Kamaai doob jaati hai
Kuch income tax le jaata hai
Kuch biwi udaati hai
Kuch income tax le jaata hai
Kuch biwi udaati hai
Kamaata hoon bahut kuch par
Kamaai doob jaati hai
Kaho tum kuch bhi lekin yeh
Samajhdaaron ka kehna hai
Kaho tum kuch bhi lekin yeh
Samajhdaaron ka kehna hai
Luta dete hain ghar ko mard
Aurat ghar banaati hai
Luta dete hain ghar ko mard
Aurat ghar banaati hai
Haan, teri in saadiyon ne
Jumperon ne, maar dala hai
Aa, teri in saadiyon ne
Arre, jumperon ne maar dala hai
Teri Diwali ki khatir
Mera nikla diwala hai
Main kadka hoon, main kadka hoon
Main kadka jeb se
Tu scent, kapdon mein lagaati hai
Busein bhi shehar mein chalti hain
Kyon taxi mein jaate ho
Cinema dekhte ho
Hotelon ke bill chukaate ho
Kamaai aadhi bahar aur
Aadhi ghar mein aati hai
Kamaai aadhi bahar aur
Aadhi ghar mein aati hai
Luta dete hain ghar ko mard
Aurat ghar banaati hai
Kamaata hoon bahut kuch par
Kamaai doob jaati hai
Main baatein jab sunata hoon
Mujhe aankhein dikhaati hai
Main baatein jab sunata hoon
Mujhe aankhein dikhaati hai
Kamaata hoon bahut kuch par
Kamaai doob jaati hai
Uda dete hain paisa
Baad mein phir hath malte hain
Daba ke muh mein cigarette
Aap aise, aise chalte hain
Musibat sar pe jab aati hai
Biwi kaam aati hai
Musibat sar pe jab aati hai
Biwi kaam aati hai
Luta dete hain ghar ko mard
Aurat ghar banaati hai
Kamata hoon bahut kuch par
Kamaai doob jaati hai
Written by: Avinash Vyas, Raja Mehdi Ali Khan
instagramSharePathic_arrow_out