Top Songs By Maan Panu
Credits
AUSFÜHRENDE KÜNSTLER:INNEN
Maan Panu
Künstler:in
KOMPOSITION UND LIEDTEXT
Maan Panu
Songwriter:in
PRODUKTION UND TECHNIK
Maan Panu
Produzent:in
Lyrics
Subah utha sirhane
Sapno se aankhein tooti
Jinmein tu baithi thi yahan
Ahaan
Beete voh din purane
Phir se main jee kar aya
Jinmein tu hansti thi Piya
Ab phir se kya so jaun main
Ab phir se kya ro jaun main
Voh nahin toh yeh sahi (toh yeh sahi)
Tu hai jahan tu hain jahan
Kya baarishein abhi bhi barasti hain wahan
Tu hai jahan tu hain jahan
Kya titliyaan abhi bhi thirakti hain wahan
Mazak hai yeh kaise sawal hain
Yeh aankhon ki nami sukhi hi nahin
Kaanpte honth nahin maante
Yeh baatein betuki par jhuthi toh nahin
Khushboo teri kabhi
Thi inn darwazon pe
Ab dhundli pad rahi yeh aahatein kahin
Tera hi naam kabhi
Tha inn awaazon mein
Ab maano kho gayi hai shor mein kahin
Yeh tinke sahare yeh bheege kinaare hum baithe hai haare yeh kaise hua
Haan tujhko pukaare ki aake sambhaale ki koi bacha le yeh girta makaan
Tere hi khatir maine
Sapne bune the saare
Dekhi thi ik nayi subah
Ahaan
Chhoti si meri duniya
Tujhse tha har pal roshan
Par ab kahan hai tu yahan
Ab phir se kya so jaun main
Ab phir se kya ro jaun main
Voh nahin toh yeh sahi
Tu hai jahan tu hain jahan
Kya baarishein abhi bhi barasti hain wahan
Tu hai jahan tu hain jahan
Kya titliyaan abhi bhi thirakti hain wahan
Written by: Maan Panu