Lyrics
Kalam chali hai jabse
Woh ruki na kabhi
Gardhan uthai hai jabse
Woh jhuki na kabhi
Hum shaant hain jab tak
Pani paar na ho sar se
Zindagi jeene ki ek hi khwahish
Marun to koi udhaar na ho sar pe
Humse doori hai acchi
Hai baat yeh seedhi
Nahi kapdon se parkhi aukaat kisi ki
Ehkaar ka katra na milega khoon mein
Jab marunga tum sab dekh lena
Maine karne maqam woh haasil
Jo tumhari soch se bahar
Jab karunga tum sab dekh lena
Meri likhi baatein
Junoon bhare
Jo kaam shareer
Mein khoon kare
Maine dekhe the sapne jo
Khuli aankhon mein
(Sab woh poore karne mein)
Uddi neendein hain meri
Yeh jo dekh rahe haar ki kitaabein
Un kisson mein dabi umeedein hain meri
Maine likhi hai
Ab tak jo maine bitai
Jaise sudhre kirdaar
Waise sudhri likhai
Dil ki jo baatein
Rakhi hamesha dil mein
Log matlab ke
Na isliye batai
Ki kaisa akela karun feel mein
Pareshani se kaise karun deal mein
Main kisi ki hoon umeed bana
Kisi ki bana hoon meal mein
Tabhi gaane aate har hafte humare
Aur likhai mein deta nahi dheel mein
Bahar shor hai kaafi
Sunaai na de
Mujhe kare kaun hate
Dikhaai na de
Peeth pe kare jo waar
Na safai sune
Ab tak kya kar raha tha
Na kari kamai tune
Haath jode hain samne Rab ke bas
Main raha tha bojh mein
Dab ke bas
Koi pooche jo haal mere dil ka
Dikha deta tha main
Hans ke bas
Dikhi khai maine jab bhi manzil dhoondi
Par na pata tha manzil hi khai thi
Yeh thi Rab ki kudrat
Na jaane kaise
Khuda ke
Khai mein
Manzil chhupai thi
Aur yeh bhi sach kahun
Rab ki thi kudrat
Ki mujhe woh manzil dikhai di
Warna manzil ki daud mein
Bhaage to kai the
Par unke kabhi sahi
Iraade hi nahi the
Kalam se likhe itihaas
Gawah hai duniya saari
Maine kalam uthai aur
Likh di duniya daari
Maine jeetkar duniya
Hai kho diya tujhe
Ab lage mujhe
Jaise jeetkar sab kuch
Maine duniya haari
Main likhta raha bas akela
Kabhi socha nahi tha
Jeetne ka
Poore kare sapne
Poora maqasad
Kara seekhne ka
Tareeka apne dil ki baaton
Ko panno par likhne ka
Moosewale ki tarah
Na hokar bhi
Har jagah dikhne ka
Main dekhoon jab bhi aaina
Nazar kuch aaye na
Dar lage kabhi ke sach ki kahin
Haar ho jaye na
Tu karna chahta hai mehnat
Par phir kyun kar paaye na
Jab thi manzil dhundhli main
Bana mera guide
Jab main dhoond raha tha saathi mera
Mujhe mila aaina
Main likhun jo bhi abhi tak
Na likhun kabhi sochkar
Agar haar bhi gaya to
Kabhi na roya khud ko kosh kar
Phir lada khud ki parchhai se
Bola use toss kar
Full-length chhodi maine ab
Seedhi daalu yorker
Pace kari change maine
Bana Paul Walker
Rehne laga chup kyunki
Thak gaya tha bolkar(bolkar)
Ke jagah do
Jaga do
Dil mein mujhe jagah do
Jaga do
Sapne dekhu na isliye
Abhi mujhe jaga do
Jaga do
Meri likhi baatein
Junoon bhare(Junoon Bhare)
Jo kaam shareer
Mein khoon kare
Maine Dekhe The Sapney Jo
Khuli Aankhon Mein
(Sab Woh Pure Karne Mein)
Uddi Neendein Hai Meri
Ye Jo Dekh Rahe Haar Ki Kitabein
Lyrics powered by www.musixmatch.com