Lyrics

Main koi shayar nahi hun
Main hun tera deewana
Teri khaatir likhna chahun
Ik chahat ka afsana
Tumhe dekh kar milti kitni Khushi
Tumhe na hoga andaza
Kya bolun main isse zyada
Phoolon jaisa taza-taza
Sab kuch ho jata hai tere aane se
Kya bolun main isse zyada
Phoolon jaisa taza-taza
Sab kuch ho jata hai tere aane se
Logon ko aatey hain kya kya tareeqe
Na seekhe mohabbat ke humne saleeqe
Na aaya kabhi humko izhaar karna
Na humne padhe they qaseede kisi ke
Main shayad ghazal jaisa kuch keh raha hun
Sahi hai galat hai mujhe na pata
Badey shauk se hai tumhare liye khola dil ka darwaza
Kya bolun main isse zyada
Phoolon jaisa taza-taza
Sab kuch ho jata hai tere aane se
Kya bolun main isse zyada
Phoolon jaisa taza-taza
Sab kuch ho jata hai tere aane se
Written by: Rahul Mishra
instagramSharePathic_arrow_out