Top Songs By Split Aka Bipul
Credits
KOMPOSITION UND LIEDTEXT
Bipul Kumar Singh
Songwriter:in
Rahul mekala
Songwriter:in
Lyrics
Oh kehna chahta tujhe kaafi toh
Par keh bhi na paya wo
Aur keh bhi ye deta toh
Kya karta tu ye bol
Jeena duswar dekha mujhse jaata nahi
Sarr pe hai mere maa baap ka bhi saaya nahi
Rehte wo apne aur apne mai ghar me
Kyunki sapne bade aur unko ye bhaya nahi
Paisa nahi hai toh hota nahi yaha kisiko kisise pyaar
Nasha sahi cheez hai wo gum bhulati mera lagataar
Charcha karke kharcha karte
Mere ye sar pe chadke darza padhte
Peere ye ghar pe ladke ghanta darte
Isiliye darr pe unke nahi palte
Na chahiye mujhe ye kaam ki dosti
Us khuda tak meri aawaz na pahunchti
Ho kaash koi jo paseene ko poochti
Na kiya bura kyuki sachi ye soch thi
Kya tujhse poocha tha kiraya is dil me hi rehne ka
Kar gaya paraya bas rang yaad chehre ka
Jo bhi pilaya maine poocha nahi jeher hai kya
Isliye pachtaya dost nahi tu gair hai na
Jaise kisi phool ko alag kardo tum poudhe se
Chadao khuda ke saamne badhgaya woh dekho aude se
Par faida kya hai aakhir me honi uski bhi maut hai be
Jeeke hi kamani hai izzat isliye maut ka khauf hai be
Kiya maine jo bhi mann me hai aaya mere
Saaya mere sar pe hai kisika na chaha maine
Jahan maine jana waha waqt kiya jaya maine
Sheeshe mai jo dikhe use rab hai bulaya maine
Kyunki
Chup chap
Bola maine nahi
Wo raaz
Khola maine nahi
Tol molke bola maine nahi
Dil kholke rakha toh sahi
Koi asli mujhe lagta kyu nahi
Rona bhi aata par aansu hai nahi
Oh kehna chahta tujhe kaafi toh
Par keh bhi na paya wo
Aur keh bhi ye deta toh
Kya karta tu ye bol
Badaloon ka sahi hai bas udta hi jaata
Hota jo bas me mai bhi banata
Basera wo chota sa jannat kehlata
Akele hi jeeta akela marjata
Neenda maine kabhi nahi ki
Par chinta ki aur isliye di
Zindagi ki wo saari khushi
Par laut ke wapas wo aayi nahi
Pehna hai gehna ye dard ka utaru kaise
Kehna hai sehna hai mar ke mai jaagu kaise
Rehna hai tere bina nafrat paalu kaise
Keh na ye mai nahi pyaar karna jaanu tujhse
Ye sawaal
Koi deta ni jawaab
Mera haal
Ab hogaya behaal
Mayajaal
Matlabi sabki chal
Ho kamaal
Khuda ka sar pe haath
Ruk ja
Rona tujhe nahi
Tu khaas
Kyu bola tujhe nahi
Oh kehna chahta tujhe kaafi toh
Par keh bhi na paya wo
Aur keh bhi ye deta toh
Kya karta tu ye bol
Written by: Bipul Kumar Singh, Rahul mekala