Lyrics
Camera rolling
Shanti
Aaj bhi meree khayalon kii tapish zindaa hai
Meree guftar kii derena ravish zindaa hai
Aaj bhi meree khayalon kii tapish zindaa hai
Meree guftar kii derena ravish zindaa hai
Aaj bhi julm ke napak riwaajon ke khilaaf
Meree seene main baghawat kii khalish zindaa hai
Jubbar va safaaqi va tagyaani kaa baaghi huun main
Nishi kaut insaan kaa baaghi huun main
Aaj bhi meree khayalon kii tapish zindaa hai
Meree guftar kii derena ravish zindaa hai
Jheel paravarada ye kadaren, ye nirale kanoon
Julm va adwan kii taxal main dhaale kanoon
Tishngi nafas ke jazbon kii bujhane ke liye
Navaa insaan ke banaaye hue kale kanoon
Aese kanoon se nafrat hai, adaavat hai mujhe
In se har saans main taharik baghawat hai mujhe
Aaj bhi meree khayalon main...
Tum hanso ge ki ye kamzor si aawaaz hai kiya
Jhunjhunaya hawa, thraaya hawa saaz hai kiya
Tum hanso ge ki ye kamzor si aawaaz hai kiya
Jhunjhunaya hawa, thraaya hawa saaz hai kiya
Jin asiron ke liye vakf hai sone ke kafas
In main maujuud abhi khwaahish parivaaz hai kiya
Aah! tum fitarat insaan ke hum raz naheen
Mari aawaaz, ye tanhaa mari aawaaz naheen
Mari aawaaz, ye tanhaa mari aawaaz naheen
Tum hanso ge ki ye kamzor si aawaaz hai kiya
Jhunjhunaya hawa, thraaya hawa saaz hai kiya
In ganit ruuhon kii fariyaad hai shamil is main
Siskiyan bin ke dhadkate hain kai dil is main
Ta nashin mauj ye toofaan bane gi ik din
Na miley gaa kisi taharik ko sahil is main
Is kii yalgaar mari zaat pa maukof naheen
Is kii gardish mare din raat pa maukof naheen
Tum hanso ge ki ye kamzor si aawaaz hai kiya
Jhunjhunaya hawa, thraaya hawa saaz hai kiya
Hans to sakte ho, giraftaar to kar sakte ho
Khvaar va rusavaa sir bazar to kar sakte ho
Apni kahataar kudai kii numaayish ke liye
Mujh ko nazar rasan va daar to kar sakte ho
Tum hi tum qaatir matalaq ho, khuda kuch bhi naheen?
Jism insaan main dimaago ke siwa kuch bhi naheen
Hans to sakte ho, giraftaar to kar sakte ho
Khvaar va rusavaa sir bazar to kar sakte ho
Aah! ye sach hai ki hathiyaar ke bill bote par
Aadmi nadir va changez to bin saktaa hai
Jaahri kaut va satvat kii faravani se
Lenin va hitler va angrez to bin saktaa hai
Sakht dushvaar hai insaan kaa mukammal hona
Haq va insaaf kii buniyaad pa afazal hona
Haq va insaaf kii buniyaad pa afazal hona
Hans to sakte ho, giraftaar to kar sakte ho
Lyrics powered by www.musixmatch.com