Top Songs By Naseem Begum
Credits
AUSFÜHRENDE KÜNSTLER:INNEN
Naseem Begum
Leadgesang
KOMPOSITION UND LIEDTEXT
Qateel Shifai
Songwriter:in
PRODUKTION UND TECHNIK
Master Inayat Hussain
Produzent:in
Lyrics
Bujhi naheen hai abhi meree dil kii pyaas na jaa
Karam kiya hai to ab chhod kar udaas na jaa
Main tujh ko na jane dun gi balmaa
Main tujh ko na jane dun gi balmaa
Kuch raz abhi tak baaqi hai
Oo balmaa, oo sajana
Jo dil se zubaan tak aa na saki
Jo dil se zubaan tak aa na saki
Wo baat abhi tak baaqi hai
Oo balmaa, oo sajana, oo balmaa
Jhuume gi abhi kuch or fizaa
Aae gaa abhi kuch or mazaa
Jhuume gi abhi kuch or fizaa
Aae gaa abhi kuch or mazaa
Zulfon kii ghata chaai hai magar
Zulfon kii ghata chaai hai magar
Barsaat abhi tak baaqi hai
Oo balmaa, oo sajana, oo balmaa
Kaahee tujh se mari har angadaai
Kab guunje gi pyaar kii shahnaai
Kaahee tujh se mari har angadaai
Kab guunje gi pyaar kii shahnaai
Dulhan to bani hain main lekin
Dulhan to bani hain main lekin
Baraat abhi tak baaqi hai
Oo balmaa, oo sajana
Jo dil se zubaan tak aa na saki
Wo baat abhi tak baaqi hai
Oo balmaa, oo sajana, oo balmaa
Writer(s): Qateel Shifai, Master Inayat Hussain
Lyrics powered by www.musixmatch.com