Lyrics

Tufaan se yaaree kare ye
Ishq kare ye kinaaron se
Tufaan kinaaron se lekin
Juthi-juthi yaaree, jhootha-jhootha ishq
Upar se teharaa hai, andar se gahara hai
Aankhon ka dhokhaa hai
Ziddi hai ye bas mein nahin hai
Ye vaqt ka dariyaa duube jo naa ubhare
Yaadon ka hai zariyaa
Ye vaqt ka dariyaa rakhtaa raaj gahare
Bahe is pe duniyaa
Kyun lage ki ho chukaa hai aisa pehle kabhi
Kyun lage ki jo hua nahin hoga kabhi
Bahtee lahar sa vo dikhataa nazar se jo
Kithna farebi, kithna hai sachcha ye
Aasaan ye lagtaa hai, mushkil ye hota hai
Aankhon ka dhokhaa hai
Ziddi hai ye bas mein nahin hai
Ye vaqt ka dariyaa duube jo naa ubhare
Yaadon ka hai zariyaa
Ye vaqt ka dariyaa rakhtaa raaj gahare
Bahe is pe duniyaa (ye vaqt ka dariyaa)
Ye vaqt ka dariyaa duube jo naa ubhare (duube jo)
Yaadon ka hai zariyaa (duube jo naa ubhare)
Ye vaqt ka dariyaa rakhtaa raaj gahare
Pardon kee hai duniyaa
Written by: Hussain Haidry, Shor Police
instagramSharePathic_arrow_out