Lyrics

So jaa, chanda raja so jaa, chal sapnon mein chal
Neend ki pariyaan pehen ke aayi pairon mein paayal
Tujhko apne naram paron par lekar jaayengi
Sone ka ek des hai jiski sair karaayengi
Dharti se kuchh dur kahin, saat samandar paar
Aakaashon ke beech hai sapno ka sansaar
Woh zameen hai pyaar ki, wahaan sirf pyaar hai
Mere chaand, jaa wahaan tera intezaar hai
So jaa, chanda raja so jaa, chal sapnon mein chal
Neend ki pariyaan pehen ke aayi pairon mein paayal
Jin pariyon ki husn par jannat ho kurbaan
Unn pariyon ke des mein hoga tu mehmaan
Hai nayi kahaaniyan, jo tujhe sunaayengi
Tere saath naachengi, tere saath gaayengi
So jaa, chanda raja so jaa, chal sapnon mein chal
Neend ki pariyaan pehen ke aayi pairon mein paayal
Tujhko apne naram paron par lekar jaayengi
Sone ka ek des hai jiski sair karaayengi
Written by: Ehsaan, Loy, Rahat Indori, Shankar
instagramSharePathic_arrow_out