Lyrics

Chal, more manavaa, shyaam ke dwaare
Chal, more manavaa, shyaam ke dwaare
Charan-kamal mein jaakar rakh de
Apanae dukhde saare, saare
Chal, more manavaa, shyaam ke dwaare
Main nirdhan aur lanbaa path hai
Naa koyi doli
Naa koyi rath hai
Nange pairon chalaa sudama
Phool ban gae kaante saare
Chal, more manavaa, shyaam ke dwaare
Shyaam ke path par kaal jo aaye
Hans-hans gale lagaaoon
Jagdishwar narsingh kee mahima
Ho matvaala gaaun, ho matvaala gaaun
Dekh, sudama rup badal kar aaye, mohan pyaare
Chal, more manavaa, shyaam ke dwaare
Shesh naag ka rup dekh kar
Yaad aaye girdhaari
Ek jaan to kya hai
Kar doon sau jaane balhari
Kitni door se lene aaye hamko, shyaam hamaare
Chal, more manavaa, shyaam ke dwaare
Vo nadiya, toofaan utaa le
Milke rahenge milne waale
Chal re, sudama, shyaam salona
Tujko aaj pukaare, tujko aaj pukaare, tujko aaj pukaare
Written by: Husnlal Bhagatram, Qamar Jalalabadi
instagramSharePathic_arrow_out