Top Songs By Ikka
Credits
AUSFÜHRENDE KÜNSTLER:INNEN
Ikka
Künstler:in
KOMPOSITION UND LIEDTEXT
Ikka
Komponist:in
PRODUKTION UND TECHNIK
JSL
Produzent:in
Lyrics
Waisa tha mera kal, aisa hai mera aaj
Kuch diye khol, maine kuch rakhe raaz
(Kuch rakhe raaz) maine kuch rakhe raaz
(Maine kuch rakhe raaz) ha, kuch rakhe raaz
Waisa tha mera kal, aisa hai mera aaj
Kuch diye khol, maine kuch rakhe raaz
(Kuch rakhe raaz) maine kuch rakhe raaz
(Maine kuch rakhe raaz)
Bachpan mein sharaarti, padhai mein kamzor tha
Apne ghar mein chori karta, chhota-mota chor tha
Chori karke leta main comics aur khilaune tha
Maa thi bada maarti aur kaam mera rona tha
Pita ji peekar aate roz hi sharaab
Acchhi-khasi nahi thi, thi zindagi kharab
Roz ki ladai maa-baap ki maine hote dekhi
Kamra band karke maa apni maine roti dekhi
Anda-fatti, kalli-jota, lattubaaz poora tha
Dekhta tha cartoon main, uske bin adhoora tha
Dost-yaar, ghar ke bahar der raat rehta tha
Yahi mere bhai log, unse mein ye kehta tha
Kayi baar badla ghar, mere yaar-dost chhoot gaye
Tinku ke saath jo sapne dekhe, wo saare toot gaye
Nayi jagah, naye dost, raas nahi aati thi
"Ek din acchha aayega", ye maa mujhko samjhaati thi
Roz tha main sochta, kaash hota iski-uski tarah
Hoti gadi, ek paaltu kutta aur ek ghar bada
Aathvi mein fail, ghar waalon ko bola, "Main paas hai"
Do saal bola jhooth, kaha, "Nauvi meri class hai"
Pakda gaya
Ghar waalon ka naam badnaam kiya
Laanat hai meri zindagi, na koi acchha kaam kiya
Haan, na koi acchha kaam kiya, yeah
Waisa tha mera kal, aisa hai mera aaj
Kuch diye khol, maine kuch rakhe raaz
(Kuch rakhe raaz) maine kuch rakhe raaz
(Maine kuch rakhe raaz) ha, kuch rakhe raaz
Waisa tha mera kal, aisa hai mera aaj
Kuch diye khol, maine kuch rakhe raaz
(Kuch rakhe raaz) maine kuch rakhe raaz
(Maine kuch rakhe raaz)
Phir aaya meri zindagi mein hip-hop
Baaki sab doob gayi, yahi thi akeli hope
Gareeb tha, kare do-chaar hazaar ke liye promotion job
Nakli pehne FUBU Rocawear, maine Sean John
Walkman jeb main, headphones kaano par
Karta ye akela perform main Eminam ke gaano par
Diya mera saath jisne, wo thi meri badi behan
Meri thi kahani, jaise 50 Cent ka 'Many Men'
Relative saare jalte the, pyaar na koi karta tha
Jitni bhi thi mushkilein, saamna main karta tha
Phir mila Lil Golu, usne milwaya Raftaar se
Hum teeno ka tha crew, aur yahi sacche yaar the
Studio mein jaate the, dhakke roz khaate the
Kaam nahi banta tha, khaali haath aate the
Umeed pe the kaayam hum, laga daala saara dum
Phir bhi na baat bani, jitna kiya; utna kam
Ek din Honey Singh ne notice kiya humko
Bhai ne studio mein bulaaya hum sabko
Mile bhai se to pata chala, hum the kitne bade wannabe
Dikhaai bhai ne humein video jab Badshah ki
Hum per kiya kaam, diye naam hum teeno ko
Sabke muh band, tha shaq jin jin ko
Bhai ne banaya humein Mafia Mundeer
Dekhi humne saath mein ek badi tasveer
Phir hua kuch aisa
Maine chod diya crew
Ye nahi bataaunga ki chhoda maine kyun
Haan, chhoda maine kyun, yeah
Waisa tha mera kal, aisa hai mera aaj
Kuch diye khol, maine kuch rakhe raaz
(Kuch rakhe raaz) maine kuch rakhe raaz
(Maine kuch rakhe raaz) ha, kuch rakhe raaz
Waisa tha mera kal, aisa hai mera aaj
Kuch diye khol, maine kuch rakhe raaz
(Kuch rakhe raaz) maine kuch rakhe raaz
(Maine kuch rakhe raaz) yeah, yeah, yeah
Phir mila ADX, usne milwaaya Gaurav ji se mujhe
Gaurav ji ne poocha ki "Kya banna chaahte ho? Kya chahiye tujhe?"
Maine bola ki "Mujhko ban'na rapper hai
Sab theek-thak, mujhko ban'na sabse better hai"
Nikala gaana '922', soorat meri TV par aayi
Socha, ab ho gayi yaaron ki full chadhai
Per kya pata mujhko, abhi struggle kitna baaki hai
Ek gaana aana bahar bilkul bhi na kaafi hai
Phir mile JSL mujhe, paaji
Unhone banaya Ikka ko Ikka se Mr. Haan ji
Main fan Bhagat Singh ka, lyrically nominate
Jeet Ikka, JSL, Punjab kiya dominate
Aaj gaadi bhi hai, paaltu kutta aur ek acchha ghar hai
Pita ji ka peena daaru ab beeta kal hai
Mummy-papa khush kyunki unke bete ka naam hai
Aaj apni mehnat se jeeta maine pehla inaam hai
Ye thi meri kahani
Huh, sab mein kahin-na-kahin ek Ikka hai
Yeah, umeed, mehnat
Haan, let's go
Yeah, yeah, yeah, yeah
Yeah, yeah, yeah, yeah
Okay
Repeat
Waisa tha mera kal, aisa hai mera aaj
Kuch diye khol, maine kuch rakhe raaz
(Kuch rakhe raaz) maine kuch rakhe raaz
(Maine kuch rakhe raaz) ha, kuch rakhe raaz
Waisa tha mera kal, aisa hai mera aaj
Kuch diye khol, maine kuch rakhe raaz
(Kuch rakhe raaz) maine kuch rakhe raaz
(Maine kuch rakhe raaz)
Lyrics powered by www.musixmatch.com