Lyrics

Rehne do
Singaar ko rehne do
Jaisi ho, waisi hi aa jaao, singaar ko rehne do

Baal agar bikhrey hain, seedhi maang nahin nikli
Baandhein nahin angiya ke pheete, toh bhi koi baat nahin
Jaisi ho, waisi hi aa jaao, singaar ko rehne do
Oas se bheegi matti mein, paanv agar sann jaaye toh

Ghunghroo gir jaaye paayal se, toh bhi koi baat nahin
Jaisi ho, waisi hi aa jaao, singaar ko rehne do
Aakash pe baadal umad rahe hain, dekha kya
Goonji nadi kinaare se sab udne lage hain, dekha kya
Bekaar jalaa kar rakha hai, singaar diya

Hawaa se kaanp ke baar-baar bujh jaata hai, singaar diya
Jaisi ho, waisi hi aa jaao, singaar ko rehne do
Kisko pata hai palkon tale diye ka kajal laga nahin
Nahin bani hai praandi toh kya, gajraa nahin bandhaa toh chhodo
Jaisi ho, waisi hi aa jaao, singaar ko rehne do
Singaar ko rehne do, rehne do
Singaar ko rehne do
Written by: Gulzar, Rabindranath Tagore
instagramSharePathic_arrow_out