Lyrics

Barase badaravaa matvaare
Barase badaravaa
Nanheen buundan se
Birhan ke man agni lagaavanahaare
Barase badaravaa matvaare
Barase badaravaa
O, chamake bijuri aur kaali rain
O, chamake bijuri aur kaali rain
Dar laage, sakhi, kahoon ka se main
Bhar aave naiynan kajraa re
Barase badaravaa matvaare
Barase badaravaa
O, ek naveli naar kiye 16 singaar
Kare lakh jatan, vyakul man
Preetam kee baat nihare
Barase badaravaa matvaare
Barase badaravaa
Nanheen buundan se
Birhan ke man agni lagaavanahaare
Barase badaravaa matvaare
Barase badaravaa
Written by: Indiwar, Mohammed Zahur Khayyam
instagramSharePathic_arrow_out