Featured In
Top Songs By Amaal Mallik
Similar Songs
Credits
AUSFÜHRENDE KÜNSTLER:INNEN
Armaan Malik
Stimme und Gesang
Abhiruchi Chand
Künstler:in
Amaal Mallik
Stimme und Gesang
KOMPOSITION UND LIEDTEXT
Amaal Mallik
Komponist:in
Abhiruchi Chand
Texte
Armaan Malik
Komponist:in
Lyrics
Dabi-dabi si hasi honthon pe fasi hai
Gudgudi kar rahi hawa
Ooh, halla macha rahi hain pagal si khwahishein
Khushiyon ki mili hai wajah
Kuch hai junoon sa, kuch paagalpan hai
100 baatein karta ye buddhu sa mann hai
Kuch hai junoon sa, kuch paagalpan hai
100 baatein karta ye buddhu sa mann hai
Karne de khwabon ko badmashiyan
Chalne de nazron ki manmaaniyan
Dhoondhe chalo kuch thikane naye
Hone de pagli-pagli si naadaaniyan
Hosh mein rehna hai kyun? Rehne se hoga kya?
Behoshiyon mein hai maza, ooh
Bachkani harkatein jo hoti hain, hone de
Khushiyon ki mili hai wajah
Kuch hai junoon sa, kuch paagalpan hai
100 baatein karta ye buddhu sa mann hai
Kuch hai junoon sa, kuch paagalpan hai
100 baatein karta ye buddhu sa mann hai
Mausam ne bhi ki hain kuch koshishein
Hone lagi dekho ye baarishein
Sar pe chadha hai ye kaisa asar
Daudein raftaar mein dil ki sab dhadkanein
Dhun koi chal rahi hai kaanon mein dheeme se
Roshan hai zyada ye subah
Halchal jo ho rahi hai seene mein, hone de
Khushiyon ki mili hai wajah
Kuch hai junoon sa, kuch paagalpan hai
100 baatein karta ye buddhu sa mann hai
Kuch hai junoon sa, kuch paagalpan hai
100 baatein karta ye buddhu sa mann hai
(Buddhu sa mann hai)
(Buddhu sa mann hai)
Writer(s): Abhiruchi Chand, Amaal Mallik
Lyrics powered by www.musixmatch.com