Songteksten

Mujhe besabri hai
Mujhe koi samjha de
Mera khasta makaan hai
Toofan teri yaadein
Teri raahon me makhmal
Meri raahon me kaante
Mera khasta makaan hai
Toofan teri yaadein
Kya likhu ay wajood-e-zan? (Kya, kya)
Tu ne chhor di hai sawarna
Lage tere zewaron ko zung (Zung)
Urhe tere surmon ke rang (Rang)
Aate nahi hai zindagi ke dhang (Na, na)
Tu taareefein na karay
Tehwaron pe saje nahi ham
Na Eid, na hi gale lage ham
Iss bedili ke ghayal toh nahi hue
Jab teri jaanib itna maayal toh nahi hue
Chehra padh leta hun accha-khaasa waise toh (Waise toh)
Iska matlab ham bhi jaahil toh nahi hue
Toote ghar ke sheeshe mere zara haath dekh kar
Dhool-mitti reh gayi hai uss singhaar mez par
Ab tooti cheezein jorhna bhi chor di hai maine
Maine aayena khareeda hai kitaab bech kar
Mujhe besabri hai
Mujhe koi samjha de (Samjha de)
Mera khasta makaan hai
Toofan teri yaadein (Yaadein)
Teri raahon me makhmal (Makhmal)
Meri raahon me kaante (Kaante)
Mera khasta makaan hai (Hmm)
Toofan teri yaadein
Aayi teri yaad, ham bas tasweeron me saath
Ab na milenge na dil par milte nahi dimaagh
Meri nazar me wo kaante, teri nazar me gulaab
Mere tann me lag jaye aag, phir se kar do aisi baat tum (Yeah, yeah)
Tere paer padhe jiss zameen par (Zameen par)
Murjhaye phool phir se khil uthe wahan
Tera aks paaniyon pe jo padhe
Toh har boond se mile mujhe shifa
Mera mann bhi toh parwana hi raha
Tu jalti hui shamah lagi toh aana hi padha
Kabhi khaak bhi hue, kabhi gaata bhi raha
Usse murh kar dekhna tha par wo jaata hi raha
And you're gone now (Gone now)
Khaali kamrah aur mai zoned out (Zoned out)
Tere sandooq'on me kuch toh mai bhi khoj raha hun
Padhe khat ya libaas, maine rakha sab hisaab
Tu toh aa raha tha aaj
Mujhe besabri hai (Besabri hai)
Mujhe koi samjha de (Samjha de)
Mera khasta makaan hai
Toofan teri yaadein (Yaadein)
Teri raahon me makhmal (Makhmal)
Meri raahon me kaante (Kaante)
Mera khasta makaan hai (Hmm)
Toofan teri yaadein
Rock-rock-rockstar
Written by: Muhammad Ali, Muhammad Umair Tahir
instagramSharePathic_arrow_out