Paroles

Dilon ki khata ye sirf nai hai
Aankhon ki gustakhiyan bhi kai hain
Tu gayi hai jab se, mera mujh mein kuch na raha
Bas yaadein hi to teri saath rahi hain
Dhadkanein bhi kya fida thi tujhpe
Tere jaane se ye bhi tham si gayi hain
Kasoor mera kya tha? Mujhe itna bata
Meri galtiyan ginana, ye bhi naya nai hai
Meri jaan-e-jaana, tujhse dil lagana, haan
Kaafi mehanga pada, pada dil dukhana, haan
Meri jaan-e-jaana, tujhse dil lagana, haan
Kaafi mehanga pada, pada dil dukhana, haan
Reh lungi main yaadon mein
Par baahon mein teri ab rehna nahi hai, rehna nahi hai
Kar lungi khud se baatein
Par tujhse kuch bhi ab kehna nahi hai, kehna nahi hai
Jhoothe waadon mein yun hi ab tere
Haan, behna nahi hai, nahi hai
Meri jaan-e-jaana, tujhse dil lagana, haan
Kaafi mehanga pada, pada dil dukhana, haan
Meri jaan-e-jaana, tujhse dil lagana, haan
Kaafi mehanga pada, pada dil dukhana, haan
Narazagi kab faaslon ka naam ho gayi?
Kyun tujhse main aur mujhse tu anjaan ho gayi?
Narazagi kab faaslon ka naam ho gayi?
Kyun tujhse main aur mujhse tu anjaan ho gayi?
Written by: Abir, Shreya Jain
instagramSharePathic_arrow_out