Letras

Tha pheeka aasmaan aur pheeki hawa thi
Berang sa hi tha main yahaan
Phoolon si baatein uski aayi kahin se
Ke rangon se bhar diya jahan
Haan, kehte hain, jab se wo aayi
Haazaron naazare bhi pheeke se lagte hain
Ke kaafi pyaase the, jaana
Ab khaali pyaale bhi jheelon se lagte hain
Ke kaafi farishte bhi aaye
Jo jannat dikhaane ko mujhko tarsate hain
Ho uski agar ankhein wahan na
Toh jannat bhi jannat kahan
O jaana, tujhe kaise batana, kaise batana
Ki mere har saffe ab tu hai
Fasaana chala, kaisa fasaana, kaisa fasaana
Jo tu rahe toh rehta sukoon hai
Baitha rahe tu mere sirhaaane
Takta rahoon, subha hui, pata bhi chale naa
Has ke jo tu, haan, nazrein churaaye
Sharmana bhi tera lage, jaise thandi si koi fiza hai
Ajab sa karishma hai tera
Tu jab bhi chalaye, haan, beshak ye chalta hai
Jab hoti hai saath tu mere
Zamana bhi, dekho na, kitna kilasta hai
Ek toh ye chehra gulaabi
Aur uspe ye aankhein sharaabi
Aur meri har mannat mein tu jo raha
Nahi toh mannat bhi mannat kahan
O jaana, tujhe kaise batana, kaise batana
Ki mere har saffe ab tu hai
Fasaana chala, kaisa fasaana, kaisa fasaana
Jo tu rahe toh rehta sukoon hai
O jaana, tujhe kaise batana, kaise batana
Ki mere har saffe ab tu hai
Fasaana chala, kaisa fasaana, kaisa fasaana
Jo tu rahe toh rehta sukoon hai
Written by: Ansh4sure, Kushagra, Saaheal
instagramSharePathic_arrow_out