Lyrics

Haan, isi mod par, is jagah baith kar Haan, isi mod par, is jagah baith kar Tum ne vaada kiya tha saath do ge zindagi bhar Chhod kar tum na jaao ge Haan, isi mod par, is jagah baith kar Yaad hai aaj bhi mujh ko is haseen sham kaa manzar Dil jahaan main ne haara tha, main ne tum ko pukara tha Pyaar se ajanabee kah kar Haan, isi mod par, is jagah baith kar Tum ne vaada kiya tha saath do ge zindagi bhar Chhod kar tum na jaao ge Haan, isi mod par, is jagah baith kar Mari deewaangi mujh ko fir isi mod par laai Dhoondta fir raha huun main apni viran tanhaai Rah gai aarazu jal kar Haan, isi mod par, is jagah baith kar Tum ne vaada kiya tha saath do ge zindagi bhar Chhod kar tum na jaao ge Haan, isi mod par, is jagah baith kar
Writer(s): Various Artists Lyrics powered by www.musixmatch.com
instagramSharePathic_arrow_out