Top Songs By JalRaj
Similar Songs
Lyrics
(barasaat ka mausam, yahaan hum, yahaan tum)
(sajani ko mil gae saajan, saajan, saajan)
Tum sa koyi pyaaraa, koyi maasoom nahin hai
Kya chiz ho tum, khud tumhein maalum nahin hai
Lakhon hain, magar tum sa yahaan kaun haseen hai?
Tum jaan ho meri, tumhein maalum nahin hai

Sau phool khile, jab ye khilaa rup sunaharaa
Sau chaand bane, jab ye bana chaand sa cheharaa
Ho, sau phool khile, jab ye khilaa rup sunaharaa
Sau chaand bane, jab ye bana chaand sa cheharaa
Itana bhee koyi pyaar kee raahoon mein naa gum ho
Bas hosh hai itana ki mere saath mein tum ho
Mere saath mein tum ho, mere saath mein tum ho
Hmm, dhadakan hai kaheen, dil hai kaheen, jaan kaheen hai
Tum jaan ho meri, tumhein maalum nahin hai
Ye chaandanee in aankhon ka saaya to nahin hai
Kya chiz ho tum, khud tumhein maalum nahin hai
Tum sa koyi pyaaraa, koyi maasoom nahin hai
Kya chiz ho tum, khud tumhein maalum nahin hai
Tum sa koyi pyaaraa, koyi maasoom nahin hai
Kya chiz ho tum, khud tumhein maalum nahin hai
Ye honth, ye palken, ye nigaahen, ye adayen
Mil jaaen, khuda, mujko to main le loon balaayen
Ho, ye honth, ye palken, ye nigaahen, ye adayen
Mil jaaen, khuda, mujko to main le loon balaayen
Duniyaa ka koyi gam bhee mere paas naa hoga
Tum saath chaloge to ye ehasaas naa hoga
Ehasaas naa hoga, ehasaas naa hoga
Hmm, akaash hai pairon mein hamaare ki zameen hai?
Tum jaan ho meri, tumhein maalum nahin hai
Aisa koyi mehboob zamaane mein nahin hai
Kya chiz ho tum, khud tumhein maalum nahin hai
Lakhon hain, magar tum sa yahaan kaun haseen hai?
Tum jaan ho meri, tumhein maalum nahin hai
Tum sa koyi pyaaraa, koyi maasoom nahin hai
Kya chiz ho tum, khud tumhein maalum nahin hai
Written by: Anu Malik, Rahat Indori