Top Songs By Lata Mangeshkar
Credits
AUSFÜHRENDE KÜNSTLER:INNEN
Lata Mangeshkar
Stimme und Gesang
KOMPOSITION UND LIEDTEXT
Anand Bakshi
Songwriter:in
Laxmikant-Pyarelal
Komponist:in
PRODUKTION UND TECHNIK
K. K. Talwar
Produzent:in
Lyrics
Aap ka khat milaa, aap ka shukriya
Aap ka khat milaa, shukriya, shukriya
Aap ne yaad mujh ko kiya
Shukriya, shukriya, shukriya, shukriya
Aap ka khat milaa, aap ka shukriya
Aap ne yaad mujh ko kiya
Shukriya, shukriya, shukriya, shukriya
Pyaar mein yaad karnaa hee kaafii nahin
Pyaar mein yaad karnaa hee kaafii nahin
Aap kee bhool qaabil-a/e-maafi nahin
Jee, ruuth jaayenge hum, phir manaanaa, sanam
Yoon kataa aap bin ek chhota sa din
Jaise ek saal tha, dil ka vo haal tha
Aap ko kya khabar, kya hai dard-a/e-jigar
Bas fasaanaa koyi, ek bahaana koyi
Likh ke kaagaz pe bhej diya
Shukriya, shukriya, shukriya, shukriya
Aap ka khat milaa, aap ka shukriya
Aap ne yaad mujh ko kiya
Shukriya, shukriya, shukriya, shukriya
Aap likhte hain, milne kee fursat nahin
Aap likhte hain, milne kee fursat nahin
Chhodie berukhi, hai ye ulfat nahin
Hamko tha intazaar, dil raha beqaraar
Shaam tak hum rahe raastaa dekhte
Thak gayi jab nazar, tab milee ye khabar
Aap aaye nahin, kaam tha kuch kaheen
Par hamein gam nahin, ye bhee kuch kam nahin
Dil ke badle lifaafaa milaa
Shukriya, shukriya, shukriya, shukriya
Aap ka khat milaa, aap ka shukriya
Aap ka khat milaa, shukriya, shukriya
Aap ne yaad mujh ko kiya
Shukriya, shukriya, shukriya, shukriya
Shukriya, shukriya
Written by: Anand Bakshi, Laxmikant-Pyarelal