Music Video

Featured In

Credits

AUSFÜHRENDE KÜNSTLER:INNEN
Umar.
Umar.
Begleitgesang
KOMPOSITION UND LIEDTEXT
Umar.
Umar.
Songwriter:in
PRODUKTION UND TECHNIK
Umar.
Umar.
Produzent:in
BMC
BMC
Aufnahmeingenieur:in

Lyrics

Yaadain teri hain wahin
Tanha hun me aj bhi
Tu jo meri na rahi
Ghum sy kar li dosti
Jawani hijar kha gaya
Nadani bas na ki humne
Khulasa kar ky bolain to
Meri taqdeer jhooti thi
Fasanay likh diye goya
Kahani parh ky roo gay
Hamesha waqat pe lautay
Mohabbat phir bhi roothi thi
Saurahi tor ky mene
Diye kafi jalaye thy
Na jane aag kab bharki
Ky mera ghar bhi jal utha
Meri diwaar pe latkay
Wo tere roop ky khakay
Jinhay tum bhool baithay ho
Wo ab bhi hain wahin atkay
Awazain de ky thak baithay
To bari aashkon ki aayi
Jawani hijar kha gaya
Kahani phir wahin aayi
Awazain de ky thak baithay
To bari aashkon ki aayi
Jawani hijar kha gaya
Kahani phir wahin aayi
Dekh aaj phir aya hun kehne tujhay
Kuch bolna mat mujhay keh lene de
Kal bhi to aya tha kehne tujhay
Teri maan li thi, kuch na bola tha me
Aj maan le meri
Tu maan he mera
Dil me mere bas makaan he tera
Tu janti he badgumaan nahi hun
Waqat ky haathon imtehan he mera
Me bolta nai par qusoor he tera
Bolun bhi kiun, tu ghuroor he mera
Yun baat alag, gaya toora bohat
Bukhar gaya sara noor he mera
Me kal phir aounga kehne tujhay
Ky tere zakham mujhay sehnay hi thy
Tum jaan na payi ky jaan ho tum
Yan jaan ky leti ho yaan ye tum
Awazain de ky thak baithay
To bari aashkon ki aayi
Jawani hijar kha gaya
Kahani phir wahin aayi
Awazain de ky thak baithay
To bari aashkon ki aayi
Jawani hijar kha gaya
Kahani phir wahin aayi
Aj likhnay ka man nahi ye
Tum ankhay meri ye parh lo na
Ky dil me jo hen zakham tumharay
Wo daagh bantay ja rahe hain
Me lauton ghar ko bhi kiya mun le kar
Aelaan kar khud hi aya tha
Tujhay paa liya to hi jounga
Warna dafan ho jounga
Teri ghar hi shaukhat lahu lauhan
Mera jigar me rakh jaounga
Lagay daagh dho bhi na paogy
Tumhay itna door kar jouga
Tum jeet jaogy teh hy ye
Me haar ky muskurounga
Tum jashan kar ky pashtaogy
Tumhay is qadar yaad aounga
Awazain de ky thak baithay
To bari aashkon ki aayi
Jawani hijar kha gaya
Kahani phir wahin aayi
Awazain de ky thak baithay
To bari aashkon ki aayi
Jawani hijar kha gaya
Kahani phir wahin aayi
Written by: Umar.
instagramSharePathic_arrow_out