Lyrics

Kahin pe nigahein, kahin pe nishana
Kahin pe nigahein, kahin pe nishana
Jeene do, zaalim, banaao na deewana
Kahin pe nigahein, kahin pe nishana
Kahin pe nigahein, kahin pe nishana
Koi na jaane iraade hain kidhar ke
Koi na jaane iraade hain kidhar ke
Maar na dena teer nazar ka kisi ke jigar pe
Maar na dena teer nazar ka kisi ke jigar pe
Naazuk yeh dil hai, bachana, oh, bachana
Kahin pe nigahein, kahin pe nishana
Kahin pe nigahein, kahin pe nishana
Tauba ji tauba, nigahon ka machalna
Tauba ji tauba, nigahon ka machalna
Dekh-bhaal ke, ae dilwalon, pehlu badalna
Dekh-bhaal ke, ae dilwalon, pehlu badalna
Kaafir ada ki ada hai mastana
Kahin pe nigahein, kahin pe nishana
Kahin pe nigahein, kahin pe nishana
Zakhmi hain tere, jaayein toh kahaan jaayein?
Zakhmi hain tere, jaayein toh kahaan jaayein?
Tere teer ke maare hue dete hain sadaayein
Tere teer ke maare hue dete hain sadaayein
Kar do ji ghayal, tumhara hai zamana
Kahin pe nigahein, kahin pe nishana
Kahin pe nigahein, kahin pe nishana
Aaya shikari, oh, panchhi, tu sambhal ja
Aaya shikari, oh, panchhi, tu sambhal ja
Dekh, jaal hai zulfon ka, tu chupke se nikal ja
Dekh, jaal hai zulfon ka, tu chupke se nikal ja
Ud ja, oh, panchhi, shikari hai deewana
Kahin pe nigahein, kahin pe nishana
Kahin pe nigahein, kahin pe nishana
Written by: Majrooh Sultanpuri, O. P. Nayyar
instagramSharePathic_arrow_out