Lyrics

Bhaag launde khada hoja line mai Yeh galat form hai, udhar Jaa ruk idhar pehle sign de Yeh premium expired hai sir abh pehle mujhe fine de Yeh lunch hour hai sir baadme aana chotu chai Dey chal Bhaaga launda khada hoke line mai Yeh daftar ke aate ni samajh mujhe kaayede Bus pakdi ticket Kati Jeb ke saath pohcha thaana abh idhar sign de Time dekh aur idhar sign de Jooto ke ghisgye talve flow khele beat pe langditaang Naseeb maare bhaddi baas, aur firbhi chadni hai gaddi aaj Noto pe udri hai makhhi 8, aur peeske ugle chakki art Aur sodey ki botal mai kho Diya mol is sabh ka Jabh hori hai sabh ki jhaanch Ain't no time for the niceties you know I'm here for a nicer tease Na pasand tera manager na tera artist Jodi yeh lagri hai lichen si Gharwaalo ke apne huey ni poore mere sapno ko bolte hai bhram Yeh dard meri poori peedhi jhele Par hoga kya abh mujhpe khatam? Maa ko Banna tha painter Daftar ki kalam mai sookh gaye rang woh saare Baap tha gaata gazle, faadke nazme cheekhta bando pe gaali Doon kya teesre bande ko kandha sar rakh roney ke silsilo mai Meri bhen ke aasoon sookhe ni abtak meri kameez ki silvato se Mera swaabhimaan meri bhaari saans sabh ki khwaabi tha Aur yeh zindagi bhaagne ko boley mujhe saari raat Aur khushiyon ko toley meri gaadi saath Aur ek passport size photograph padi batuey mai Laash uth jaaye toh bhi cash miljaye tabhi daftar ke chakkar Lagaara mai jahan pe jaan aur wakt yeh dono hai kifaayat pe Bhaag launde khada hoja line mai Yeh galat form hai, udhar Jaa ruk idhar pehle sign de Yeh premium expired hai sir abh pehle mujhe fine de Yeh lunch hour hai sir baadme aana chotu chai Dey chal Bhaaga launda khada hoke line mai Yeh daftar ke aate ni samajh mujhe kaayede Bus pakdi ticket Kati Jeb ke saath pohcha thaana abh idhar sign de Time dekh aur idhar sign de
Writer(s): Arnav Nigam Lyrics powered by www.musixmatch.com
instagramSharePathic_arrow_out