Lyrics

Dil-e-nadan, tujhe hua kya hai?
Aakhir iss dard ki dawa kya hai?
Dil-e-nadan, tujhe hua kya hai?
Hum hain mushtaq aur woh bezar
Hum hain mushtaq aur woh bezar
Ya Ilahi, yeh majra kya hai?
Dil-e-nadan, tujhe hua kya hai?
Main bhi munh mein zuban rakhta hun
Main bhi munh mein zuban rakhta hun
Kash puchho ki mudda kya hai?
Dil-e-nadan, tujhe hua kya hai?
Humko unse wafa ki hai ummeed
Humko unse wafa ki hai ummeed
Jo nahin jaante wafa kya hai
Dil-e-nadan, tujhe hua kya hai?
Jaan tum par nisar karta hun
Jaan tum par nisar karta hun
Main nahin jaanta dua kya hai
Dil-e-nadan, tujhe hua kya hai?
Aakhir iss dard ki dawa kya hai?
Written by: Ghulam Mohammed, Mirza Ghalib
instagramSharePathic_arrow_out