Lyrics

Ab main rashan kee qataaron mein nazar aathaa hoon

Apanae kheton se bichhadne kee sazaa paataa hoon

Itanee mahangaai ki baazaar se kuch laata hoon

Apanae bacchon mein use baant ke sharmaata hoon
Ab main rashan kee qataaron mein nazar aathaa hoon
Apanee neendon ka lahoo ponchney kee koshish mein

Jaagate-jaagate thak jaataa hoon, so jaataa hoon
Ab main rashan kee qataaron mein nazar aathaa hoon
Apanae kheton se bichhadne kee sazaa paataa hoon
Ab main rashan kee qataaron mein nazar aathaa hoon
Koyi chadar samajh ke khinch naa le phir se, khalil

Main kafan odh ke footpath pe so jaataa hoon
Ab main rashan kee qataaron mein nazar aathaa hoon
Apanae kheton se bichhadne kee sazaa paataa hoon
Ab main rashan kee qataaron mein nazar aathaa hoon
Written by: Jagjit Singh, Khaleel Dhantejvi
instagramSharePathic_arrow_out