Songteksten

Aankhein tere bina yeh soti nahi hain
Raatein hoti nahi hain jab tu hoti nahi hai
Hoti hai teri fikar, rehta hai dil may ik dar
Ke dil may viraani hai, ab tu kab laute ga ghar?
Par ab jo aayegi tu
Mujhko na payegi tu
Dil ko samjhayegi tu mein hoon yahin
Dhoondo ge har gali may
Phir milunga nahi mein
Kho jaunga kahin mein tere liye
Haan, hai haseen tu, par tu bewafa hai
Mujhe dhoondna ab hi teri saza hai
Mujh may mohabbat saanson ki tarha hai
Tum jo ab nahi ho tou baki bhi kya hai?
Dikhti hai chandni jab, chhatt jate hain yeh baadal
Aese hi laakhon may hum tujhko takte hain pagal
Aese hi karte hain sab duayen ke yeh barsein
Par mein chahta hun ke yeh barsein naa
Par ab jo barsein ge yeh, chahat ko tarso ge tum
Mujhko hi dhoondo ge tum phir har jagaah
Ab tum wafa bhi karoge tou baki rahega kya?
Jisko na sun'na tha woh ab kahega kya?
Dastak bhi di thi, par tumne kaha tha ke tumne suna hi nahi
Band kar diya hai ab dil ka yeh darwaza
Tum tab kahan the jab tanha mein mar raha tha?
Raaton may rota tha, khud se mein larr raha tha
Socha tha mar hi na jaaun kahin
Par ab jo aayegi tu
Mujhko na payegi tu
Dil ko samjhayegi tu mein hoon yahin
Dhoondo ge har gali may
Phir milunga nahi mein
Kho jaunga kahin mein tere liye
Haan, hai haseen tu, par tu bewafa hai
Mujhe dhoondna ab hi teri saza hai
Mujh may mohabbat saanson ki tarha hai
Tum jo ab nahi ho tou baki bhi kya hai?
Haan, hai haseen tu, par tu bewafa hai
Mujhe dhoondna ab hi teri saza hai
Mujh may mohabbat saanson ki tarha hai
Tum jo ab nahi ho tou baki bhi kya hai?
Written by: Ahad Khan, Raffey Anwar, Usama Ali
instagramSharePathic_arrow_out