Songteksten

[Verse 1]
Aate jaate
Hanste gaate
Socha tha maine man mein kai baar
Woh pehli nazar
Halka sa asar
Karta hai kyun is dil ko bekaraar
[Verse 2]
Ruk ke chalna
Chalke rukna
Na jaane tumhe hai kiska intezaar
Tera woh yakin
Kahin main to nahin
Lagta hai yehi kyon mujhko baar baar
[Chorus]
Yahi sach hai
Shayad maine pyar kiya
Haan haan tum se
Maine pyar kiya
[Verse 3]
Aate jaate
Hanste gaate
Socha tha maine man mein kai baar
Hothon ki kali
Kuch aur khilli
Yeh dil pe hua hai kiska ikhtiyaar
[Verse 4]
Tum kaun ho
Batla to do
Kyun karne lagi main tum pe aitbaar
Khamosh rahun
Ya main keh doon
Ya karlu mein chupke se yeh sweekar
[Chorus]
Yahi sach hai
Shayad maine pyar kiya
Haan haan tum se
Maine pyar kiya
Written by: Dev Kohli, Raam Laxman
instagramSharePathic_arrow_out